A Poem by Gulzar
Dard kuch der hi rehta hai, bahut der nahi,
jis tarah shaakh se toray hue ek pattay ka rang
mand par jata hai kuch roz alag shaakh se reh kar
shaakh se toot kar yeh dard jeeye ga kab tak?
khatam ho jayegi jab is ki rasad,
tim-timayega zara der ko bujhtay-bujhtay,
aur phir lambi si ek sans dhuan ki le kar
khatam ho jayega, yeh dard bhi, bujh jayega.
dard kuch der hi rehta hai, bahut der nahi...
- gulzar

nice one
ReplyDelete